Sajde mein yun hi jhukta hoon
Tum pe hi aake ruk jaata hoon
Kya yeh sabko hota hai
Humko kya lena duniya se
Tumse hi ab har baat hai
Ban gaye ho tum meri dua
Sajde mein yun hi jhukta hoon
Tum pe hi aake ruk jaata hoon
Kya yeh sabko hota hai
Humko kya lena duniya se
Tumse hi ab har baat hai
Ban gaye ho tum meri dua
Khuda jaane ke main fida hoon
Khuda jaane main kho gaya
Khuda jaane yeh kyun hua hai
Ke ban gaye ho tum mere khuda
Tu kahe toh tere hi
Kadam ke nishaano pe
Chalta rahun, ruk jaun bhi
Tu kahe toh khwabon ko
Ek bahana bana ke main
Milta rahun tere paas hi
Tumse dil ki baatein seekhi
Tumse hi yeh rahein seekhi
Tumpe mar ke main jee gaya
Khuda jaane ke main fida hoon
Khuda jaane main kho gaya
Khuda jaane yeh kyun hua hai
Ke ban gaye ho tum mere khuda
Dil kahe ke aaj toh
Chhupa loon tujhe baahon mein
Dar lagta hai kho na doon
Dil kahe sambhal zara
Khushi ko nazar na lage
Dar hai kahin ro na doon
Karti hoon sau waade tumse
Baandhe dil ke dhaage tumse
Yeh tumhe na jaane kya hua
Khuda jaane ke main fida hoon
Khuda jaane main kho gaya
Khuda jaane yeh kyun hua hai
Ke ban gaye ho tum mere khuda
Sajde mein yun hi jhukta hoon
Tum pe hi aake ruk jaata hoon
Kya yeh sabko hota hai
Humko kya lena duniya se
Tumse hi ab har baat hai
Ban gaye ho tum meri dua
Khuda jaane ke main fida hoon
Khuda jaane main kho gaya
Khuda jaane yeh kyun hua hai
Ke ban gaye ho tum mere khuda
Ke ban gaye ho tum mere khuda