Kayar jo the, vo shayar bane
Ab kya kya kareyn ye ishq mein
Na kehte the kuch jo, lage khoj mein
Kya lafz chune?
Naye aashiq ye, ishq mein tere hayn faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhy likha kuch tere baare mein
Ayse tu lage ky gulaab hai
Aur ayse tu lage ky gulaab hai
Aur ayse tu lage ky gulaab hai
Baghon mein dil ke
Khilke in fizaaon mein chhaye ho haaye
Aur vaise hum to tere hy gulaam hayn
Aur vaise hum to tere hy gulaam hayn
Baadshah dil ke, tery baazy mein
Jo tu chahe to…
Doobe dilon ky kya nau banu?
Main khud tar paaoon na aankhon mein
Shayar ky fitrat mein hy doobna
Main kya hy ladu toofanon se
Ishq mein tere hayn faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhy likha kuch tere baare mein
Haathon ko sambhaale mere haathon mein
Kaise haathon ko sambhaale mere haathon mein?
Jab tak neend na aaye in lakeeron mein
Baateyn hon…
Haan…
Sabne to sab keh diya hai
Kya hy kahoon jo abhy bhy ankaha hai?
Main haay…
Na Mirza, na Mir
Na maahir, na zaahir
Karoon kuch naya main?
Haay… par…
Jo bhy likha hai, jiya hai
Haan jiya hai
Ayse, ayse, ayse, kaise, vaise, jaise
Jaise main padhun mere dil mein jo
Mery aankheyn bhy padheyn tery aankhon ko
Kya ye mehfil mein baithe?
Ya uthe daud jaane ko? haaye
Tery aankhon mein taarifon ky talaash hai
Mery mehfil tere jaane se veeraan hai
Main bas shayar bana hoon
Sirf tu sunne aaye to…
Shayad shayar bana hoon
Sirf tu sunne aaye to